Monday, April 21, 2008

Aaj dil ka dard...

Aaj dil ka dard phir dil mein reh gaya..
Zuba se phir aaj na kuch kaha gaya..
Aankho ne har mod pe sath na chora..
dard aankho se phir aansu bankar beh gaya!!!

Aankho se na....

Aankho se na pucho kya kasur hai unka??
Ye to har khushi har gam mein ek jesi wafa nibhati hai..
Kasur hai to iss zalim zindagi ka...
Jo har modd pe azmaa ke be-wafai dhikati hai...

Wednesday, April 16, 2008

Najane qu..

Najane qu har koi vishwaas ke badle daga de jata hai..
Hota hai wo koi apna hi jo dilko dhuka jata hai...
Shikayat bhi kya kare unse abb..
Jinhe humpe bhul se bhi taras nahi ata hai!!!

Zindagi hasne ke mauke kam...

Zindagi hasne ke mauke kam,rone ke hazaar deti hai..
Ye kesi saza hai jo hume wo bar bar deti hai..
Gunaah karte to aalam hi kuch aur hota..
Jab be-gunaah hoke hi mulzim karaar karti hai!!!!!