Sunday, June 17, 2007

Sochte hai....

Sochte hai dil patther ka bana le...
Har zulm ki dastaan uss par saja le..
Na hoga dard na koi chubhan...
Zindagi abb teri jitni ho taakat utna kaher barsa le!!!

The Ultimate touch...........

Kabhi hote the jo pass hamare aaj unka
dur jana sunkar acha laga...

Jo rote the din raat yaad me hamari aaj unka
humare bina muskurana acha laga..

Jo hote the har kadam pe sath hamare aaj unka
achaanak rasta badalna acha laga...

Jo sajaate the hamari mehfil ko aksar aaj unka...
hume tanhaii me chor kar jaana acha laga...

Aur kya kahe isse badkar ki....

Jo hume sapno ki duniya dikhate the aaj unka...
hamare `kafan` ko rangeen kar kisi aur ka daaman banana acha laga...

Kaash dilo se.....

Kaash dilo se hume bhi khel pate....
To us hasin dard ka ehsas unhe bhi kara pate...
Aaj hum baazi haar gaye to kya....
Hame zakhm dekar aaj bhi kaha wo dilse muskura pate....

Jo apne hi sukh.....

Jo apne hi sukh mein mashruff the itne....
Wo dusro ka dard kya jaane....
Jisne kabhi taira hi nahi zindagi mein...
Wo aansu aur paani me antar kya jaane....

Gamo ke sagar.....

Gamo ke sagar me unhe to bas
Mehkhane ka kinara nazar ata hai....
Jise chahkar bhi 'wo' pa na sake..
Aaj bhi 'wo' use jeene ka sahara nazar ata hai...
Unka sath na de pana hamari majburi thi MAGAR....
Humare ek INKAAR me unka har ARMAAN tutta nazar ata hai.......

Pyaar me......

Pyaar me sath nibhana dagabazo ka khel nahi…
Ye to jigar walo ka kaam hota hai…
Jo bich majhdhaar mein hi darr kar dub jaye...
ESE hi logo ka "bewafa" naam hota hai!!!!!

Jaha se laut.......

Jaha se laut aaye the kabhi aaj wahi wapas jaane ko mann karta hai....
Zakhmo ko kareeb se chune ka phir se mann karta hai...
Aaj kisi ke dard ko dekhkar....
Unke dard me apna dard dhundne ko mann karta hai!!!

Aaj phir......

Aaj phir dilko thokar lagi aur dard ne badkar thaam lia....
Gairo ne kya apno ne hi barbaadi ka inaam dia....
Jinhe rakhte the hum har gam se dur aaj unhine.....
Hume katl karne k liye apne haatho me khanjar thaam lia!!!!!

Thursday, June 7, 2007

Qu........

Qu jo hamari aankho me ek aansu na dekh pate the...
Wahi hamari aankho se samunder bahate hai....
Kahte hai ki rone ke baad hi hasi naseeb hoti hai....
Issi khwaish me to hum rote chale jate hai!!!!

Khwaish thi....

Khwaish thi sang chalne ki magar....
Hume unhone tanhaii ka daman uda diya...
Socha uss daman me uske sitam chupa kar,
Aansu poch lenge hum....
Par kambhakt ne ek din wo daman bhi jala diya!!!

Raat k khamoshi.....

Raat k khamoshi me chaand tanha jagmaga raha hai...
Iss hasin pal me koi apna yaad aa raha hai...
Kahdo uss raat se ki thodi lambi ho jaye...
Usse judaii ka ehsaas mann hi mann tadpa raha hai!!!!

Saturday, June 2, 2007

Raahe mushqil...

Raahe mushqil hoti hai sambhalna aasan nahi hota.......
Qu zindagi me kuch chizo ka mukaam nahi hota...
Kehte hai diye ke jalne se hoti hai roshni magar....
Qu usse roshan kisika jahaan nahi hota!!!!!

Khamoshi ko ..

Khamoshi ko hamari kamjori samajhkar hum pe sitam dhaya hai....
Zakhm sehkar bhi aajtak humne kuch na kah paya hai...
Dard ka diya jalta hai aaj bhi humare aagan main...
Jise koi hawa ka jhoka na bhuja paya hai!!!

Ye aankhen.......


Ye aankhen nahi gehra sagar hai...
Dekhoge to dubhte chale jaoge....
Ye dard... jism me nahi ruh me basta hai hamari....
Jise marne ke pehle kaha tum samajh paoge!!!!

Jo hua uska.....

Jo hua uska kabhi gam na kar....
Ro ro ke apni aankhen nam na kar....
Zindagi ka khel nirala hai par....
Ek andhere se apne ujale ko kam na kar....