Thursday, December 27, 2007

Vishwaas "Never ment to be trusted"

Vishwaas shabd se nafrat karte hai hum...
Par uss shabd ki khushkismati dekhiye,
ki aaj bhi wo apno pe karte hai hum...

Jab tutta hai wo to har tukda dard deta hai..
Par hamari badkismati dekhiye,
ki us dard se dosti karte hai hum...

Taklifo se nata purana hai humara..
Isliye uske har tukde ko chukar..
Apne hath zakhmi karte hai hum...

Par uss shabd ki khushkismati dekhiye......
ki ajj bhi......

Monday, October 29, 2007

Jab kabhi hum....

Jab Kabhi hum bahut muskurate hai....
Zakhmo ko daawat dekar mehfil mein bulaate hai...
Bhul na jaye us dard ki chuban ko...
Isliye aksar aasuon ko bahate hai!!!!!

Tute hue dilme....

Tute hue dil me jazbaat nahi basta....
Dard ki mehfil me kabhi armaan nahi sajta..
Humsafar ki chaah jinhe hogi.... unhe hogi...
Yaho to zindagi ka do kadam ka sath hai chubta!!!!

Monday, September 3, 2007

Aaj kuch likhne......

Aaj kuch likhne ko alfaas na rahe...
Kahkar jata du ese haalaat na rahe....
Har kadam par zindagi ne azmaya hai hume..
Baya kar saku wo dastaan ese jazbaat na rahe!!!!

Sunday, June 17, 2007

Sochte hai....

Sochte hai dil patther ka bana le...
Har zulm ki dastaan uss par saja le..
Na hoga dard na koi chubhan...
Zindagi abb teri jitni ho taakat utna kaher barsa le!!!

The Ultimate touch...........

Kabhi hote the jo pass hamare aaj unka
dur jana sunkar acha laga...

Jo rote the din raat yaad me hamari aaj unka
humare bina muskurana acha laga..

Jo hote the har kadam pe sath hamare aaj unka
achaanak rasta badalna acha laga...

Jo sajaate the hamari mehfil ko aksar aaj unka...
hume tanhaii me chor kar jaana acha laga...

Aur kya kahe isse badkar ki....

Jo hume sapno ki duniya dikhate the aaj unka...
hamare `kafan` ko rangeen kar kisi aur ka daaman banana acha laga...

Kaash dilo se.....

Kaash dilo se hume bhi khel pate....
To us hasin dard ka ehsas unhe bhi kara pate...
Aaj hum baazi haar gaye to kya....
Hame zakhm dekar aaj bhi kaha wo dilse muskura pate....

Jo apne hi sukh.....

Jo apne hi sukh mein mashruff the itne....
Wo dusro ka dard kya jaane....
Jisne kabhi taira hi nahi zindagi mein...
Wo aansu aur paani me antar kya jaane....

Gamo ke sagar.....

Gamo ke sagar me unhe to bas
Mehkhane ka kinara nazar ata hai....
Jise chahkar bhi 'wo' pa na sake..
Aaj bhi 'wo' use jeene ka sahara nazar ata hai...
Unka sath na de pana hamari majburi thi MAGAR....
Humare ek INKAAR me unka har ARMAAN tutta nazar ata hai.......

Pyaar me......

Pyaar me sath nibhana dagabazo ka khel nahi…
Ye to jigar walo ka kaam hota hai…
Jo bich majhdhaar mein hi darr kar dub jaye...
ESE hi logo ka "bewafa" naam hota hai!!!!!

Jaha se laut.......

Jaha se laut aaye the kabhi aaj wahi wapas jaane ko mann karta hai....
Zakhmo ko kareeb se chune ka phir se mann karta hai...
Aaj kisi ke dard ko dekhkar....
Unke dard me apna dard dhundne ko mann karta hai!!!

Aaj phir......

Aaj phir dilko thokar lagi aur dard ne badkar thaam lia....
Gairo ne kya apno ne hi barbaadi ka inaam dia....
Jinhe rakhte the hum har gam se dur aaj unhine.....
Hume katl karne k liye apne haatho me khanjar thaam lia!!!!!

Thursday, June 7, 2007

Qu........

Qu jo hamari aankho me ek aansu na dekh pate the...
Wahi hamari aankho se samunder bahate hai....
Kahte hai ki rone ke baad hi hasi naseeb hoti hai....
Issi khwaish me to hum rote chale jate hai!!!!

Khwaish thi....

Khwaish thi sang chalne ki magar....
Hume unhone tanhaii ka daman uda diya...
Socha uss daman me uske sitam chupa kar,
Aansu poch lenge hum....
Par kambhakt ne ek din wo daman bhi jala diya!!!

Raat k khamoshi.....

Raat k khamoshi me chaand tanha jagmaga raha hai...
Iss hasin pal me koi apna yaad aa raha hai...
Kahdo uss raat se ki thodi lambi ho jaye...
Usse judaii ka ehsaas mann hi mann tadpa raha hai!!!!

Saturday, June 2, 2007

Raahe mushqil...

Raahe mushqil hoti hai sambhalna aasan nahi hota.......
Qu zindagi me kuch chizo ka mukaam nahi hota...
Kehte hai diye ke jalne se hoti hai roshni magar....
Qu usse roshan kisika jahaan nahi hota!!!!!

Khamoshi ko ..

Khamoshi ko hamari kamjori samajhkar hum pe sitam dhaya hai....
Zakhm sehkar bhi aajtak humne kuch na kah paya hai...
Dard ka diya jalta hai aaj bhi humare aagan main...
Jise koi hawa ka jhoka na bhuja paya hai!!!

Ye aankhen.......


Ye aankhen nahi gehra sagar hai...
Dekhoge to dubhte chale jaoge....
Ye dard... jism me nahi ruh me basta hai hamari....
Jise marne ke pehle kaha tum samajh paoge!!!!

Jo hua uska.....

Jo hua uska kabhi gam na kar....
Ro ro ke apni aankhen nam na kar....
Zindagi ka khel nirala hai par....
Ek andhere se apne ujale ko kam na kar....

Thursday, May 31, 2007

Khushnaseeb.....

Khushnaseeb hai hum jo hamari bhi koi fikr karta hai....
Hamare har Gam aur Khushi ki parwaah karta hai....
Salamat rakhna E-khuda uss shakhs ko...
Jo tujhse pehle hamara Sajda karta hai!!!

Bhikhare hue panno....

Bhikhare hue panno ko sanjokar humne ek kitaab banai he.. Armaano ke lahu se uski har ek "nazma" sajaii hai..Darte hai koi doob na jaye uski gehraii padkar..Isliye usse humne sabki nazro se chupaii hai...

Mehfil-e-sharab....

Mehfil-e-sharab ka maza Dard me aata hai...
Chalakta Jaam jine ka sahara ho jata hai...
Hosh wale kya jane madhoshi ka aalam.....
Ki sharab ka har katra Gam-e-tanhaii ko duba jata hai...

Mohabbat...

Kabhi khamoshi bhi bahut kuch bol jati hai...
Dil ke raaz pal bhar me khol jati hai...
Use hi kehte hai mohabbat yaaro...
Jo na jane kitne dilo se khel jaati hai!!!

Hume Zakhm......


Hume Zakhm dekar wo kaha khush rah payega....
Humse Fareb karke uska mann use har pal tadpaeyga....
Hogi humari sachaai me siddhat agar....
To khuda ek din use apni galti ka ehsas zarur karaega!!!!

Iss Zamane....

Iss Zamane ne na pucho kya kya shikha diya...
Zakhm se pehle uss Dard ko sina shikha diya...
Na pucho iske zulm ki dastaan ki...
Kambhakht ne maut se pehle hi marna shikha diya..

Jo mere jazbato ko....

Jo mere jazbato ko baya kare wo alfaas nahi milte...
Tufaano ke aate hi kinare shaant nahi milte…
Bahut dur nikal aaye hai hum...
Jaha dhoondne se bhi pero k nishaan nahi milte!!!

Uski bad-duao.....

Uski bad-duao mein bhi duao jaisa asar hoga.....
Har modd par aasaan usse hamara safar hoga...
Khuda mehfus rakhhe uss aashiyaane ko sada...
Jaha uss bande ka reh-basar hoga!!!!

Tuesday, May 29, 2007

Dosti...

Aaj phir dosto ke sath gujra waqt yaad ane laga...
Mann hi mann mujhe yu tadpana laga...
Kya hasin pal the wo jab sab `sath` hote the...
Kabhi masti me `haste` the to kabhi takraar me `rote` the...
Par socha na tha ki zindagi aisa bhi modd dekhaegi...
Pal bhar me saari bandagi dhool ho jayegi....
Aaj dil us dost ki kami mehsoos karta hai...
Ussse baat karne ko pal pal marta hai....
Aaj dil us dost ki kami mehsoos karta hai...
' Wo ' sada khush rahe bas yehi `Dilse` tammana karta hai.......